ज़िन्दगी में जब भरोसा टूटता है, तो दिल सबसे ज़्यादा उसी से रोता है जिससे सबसे ज़्यादा उम्मीदें होती हैं। ऐसे ही दर्द भरे पलों को शब्दों में ढालने के लिए Bewafa Shayari in English एक गहरा एहसास बनकर सामने आती है। चाहे धोखा हो, टूटे रिश्ते हों या बिछड़ने की तकलीफ़, ये शायरियाँ दर्द को हिम्मत के साथ बयां करती हैं। अगर आप दिल के ज़ख्मों को बिना भारी शब्दों में कहे व्यक्त करना चाहते हैं, तो यह शायरी आपके लिए एक सुकून भरी आवाज़ बन जाती है।
Bewafa Shayari in English
Aao aankhein mila ke dekhte hain
Kon bewafa kitna udaas rehta hai.
Wahi raat bhar tazkira tha tumhara
Wahi neend baithi rahi mounh bana ke.
Kaam aa sakein na apni wafayein to kya karein,
Us bewafa ko bhool na jayein to kya karein.
Haay, log bewafai par chhodte hain
Us ne meri muhabbat ki shiddat dekh kar chhoda
Sad bewafa love lines.
Phir naya haath thama us bewafa ne
Phir haathon ko jalaya maine.
Tum se milna zaroori nahi tha ay bewafa
Tumhara hum se mil jana zaroori tha.
Farz karo main kho jaun
Yaqeen dilaao dhoondoge.
Aao na mil kar dhoond laayen
Koi wajah phir se ek honay ki.
Dastaan khatam hone wali hai
Tum meri aakhri muhabbat ho.
Wafaaen seekh lo hum se
Kahin karni na pad jayein.
Woh bewafa kabhi laut kar chala aaye
Yeh main ab farz bhi nahi karta.
Le jao apne jhootay waade ae bewafa.
Aglay ishq mein tumhein zaroorat padhay gi.
Sad Bewafa Shayari English Mein
Hamari to wafa bhi tumhein gawara nahi
Kisi bewafa se nibhao ge to bohot yaad aayenge hum.
Suna tha tere sheher ke log wafa karte hain sahib
Jab deewane hum hue to usool hi badal gaye.

Itna bhi hum se naraaz na hua kar
Bad naseeb zaroor hain par bewafa nahi.
Hum ne dekhi hain woh majbooriyaan
Jin ke qissay suna ke log chhod jaate hain.
Halaat bewafa ho sakte hain hum bewafa nahi
Koi lakh hum se khafa ho hum kisi se khafa nahi.
Unhein bewafa boloon to toheen hai wafa ki
Woh to nibha rahe hain kabhi idhar kabhi udhar.
Jab aaye gi samajh usay meri wafaen
Tab woh roega phir se mera hone ke liye.
Jab milo kisi se to zara door ki yaari rakhna
Jaan lewa hotay hain aksar seene se lagaane wale.
Ab kyun poochti ho haal mera
Tum ne hi to kaha tha ke ghair hoon main.
You can also read Pyar Me Dhoka Shayari in Hindi
Mera dil bhi teri tarah bewafa nikla
Zalim dhadakta bhi hai to kisi aur ke liye.
Mujhe sab maloom hai ke bewafa ho tum
Chaaha is liye ke shaayad teri fitrat badal jaaye.
2 Line Bewafa Shayari
Bhula diya usay yeh soch kar main ne
Befaa se bhula rasm-e-wafa kya karna.
Bewafa yun tera muskurana
Bhool jaane ke qabil nahi hai.

Meri dard ki dukaan hai sahib
Jo apno ki bewafai se chalti hai.
Jise azeez ho faqat apni ana hi
Unse talluq nibha kar bhula kya karna.
Tum se hi thi tum se hi hai
Muhabbat jo thi muhabbat jo hai
Jo hamara na ho, yani ghair ka ho
Us ke liye Khuda se dua kya karna.
Chalo achha hua woh kisi aur ka ho gaya
Khatm hui fikr usay apna banane ki.
Us ke tabassum ki masoomiyat pe na ja
Bewafa log baday funkaar hua karte hain.
Wafa ka naam mat lo ke wafa ab dil dukhati hai
Wafa ka naam lene se ek bewafa ki yaad aati hai.
Tum ne is waqt bewafaai ki
Yaqeen jab aakhri maqam par tha.
Raat din bewafa jis shakhs ko hum kehte hain
Woh mere dil ke kahin aas paas rehte hain.
Bewafaai woh gunaah hai jis ki maafi nahi hoti
Jaan leta hai ishq sirf wafa kaafi nahi hoti









